Sakhi Lakhnvi

ruKH-e-raushan dikhaiye sahab

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
ruḳh-e-raushan dikhā.iye sāhab
sham.a ko kuchh jalā.iye sāhab
ruuh ho kar samā.iye sāhab
mere qālib meñ aa.iye sāhab
shaiḳh-jī ho tumheñ surūd harām
aap apnī na gā.iye sāhab
vasl kī shab qarīb aa.ī hai
ab na mehñdī lagā.iye sāhab
ḳhūn-e-ushshāq hai ma.ānī meñ
shauq se paan khā.iye sāhab
maiñ tajallī-e-tūr dekhūñgā
aaj koThe pe aa.iye sāhab
aap dil meñ bigāḌ rakhte haiñ
bas na bāteñ banā.iye sāhab
chashm-e-tar rone par hai āmāda
aur sūkhī sunā.iye sāhab
bosa-e-ruḳh to chāhte ho 'saḳhī'
kahīñ muñh kī na khā.iye sāhab
Top Urdushayar.com