jab  lageñ  zaḳhm  to  qātil  ko  duā  dī  jaa.e
hai  yahī  rasm  to  ye  rasm  uThā  dī  jaa.e
dil  kā  vo  haal  huā  hai  ġham-e-daurāñ  ke  tale
jaise  ik  laash  chaTānoñ  meñ  dabā  dī  jaa.e
inhīñ  gul-rañg  darīchoñ  se  sahar  jhāñkegī
kyuuñ  na  khilte  hue  zaḳhmoñ  ko  duā  dī  jaa.e
kam  nahīñ  nashshe  meñ  jaaḌe  kī  gulābī  rāteñ
aur  agar  terī  javānī  bhī  milā  dī  jaa.e
ham  se  pūchho  ki  ġhazal  kyā  hai  ġhazal  kā  fan  kyā
chand  lafzoñ  meñ  koī  aag  chhupā  dī  jaa.e