ufuq  agarche  pighaltā  dikhā.ī  paḌtā  hai
mujhe  to  duur  saverā  dikhā.ī  paḌtā  hai
hamāre  shahr  meñ  be-chehra  log  baste  haiñ
kabhī  kabhī  koī  chehra  dikhā.ī  paḌtā  hai
chalo  ki  apnī  mohabbat  sabhī  ko  baañT  aa.eñ
har  ek  pyaar  kā  bhūkā  dikhā.ī  paḌtā  hai
jo  apnī  zaat  se  ik  anjuman  kahā  jaa.e
vo  shaḳhs  tak  mujhe  tanhā  dikhā.ī  paḌtā  hai
na  koī  ḳhvāb  na  koī  ḳhalish  na  koī  ḳhumār
ye  aadmī  to  adhūrā  dikhā.ī  paḌtā  hai
lachak  rahī  haiñ  shuāoñ  kī  sīḌhiyāñ  paiham
falak  se  koī  utartā  dikhā.ī  paḌtā  hai
chamaktī  ret  pe  ye  ġhusl-e-āftāb  tirā
badan  tamām  sunahrā  dikhā.ī  paḌtā  hai