laakh  āvāra  sahī  shahroñ  ke  fuTpāthoñ  pe  ham
laash  ye  kis  kī  liye  phirte  haiñ  in  hāthoñ  pe  ham
ab  unhīñ  bātoñ  ko  sunte  haiñ  to  aatī  hai  hañsī
be-tarah  īmān  le  aa.e  the  jin  bātoñ  pe  ham
koī  bhī  mausam  ho  dil  kī  aag  kam  hotī  nahīñ
muft  kā  ilzām  rakh  dete  barsātoñ  pe  ham
zulf  se  chhantī  huī  us  ke  badan  kī  tābisheñ
hañs  diyā  karte  the  aksar  chāñdnī  rātoñ  pe  ham
ab  unheñ  pahchānte  bhī  sharm  aatī  hai  hameñ
faḳhr  karte  the  kabhī  jin  kī  mulāqātoñ  pe  ham