zulfeñ  siina  naaf  kamar
ek  nadī  meñ  kitne  bhañvar
sadiyoñ  sadiyoñ  merā  safar
manzil  manzil  rāhguzar
kitnā  mushkil  kitnā  kaThin
jiine  se  jiine  kā  hunar
gaañv  meñ  aa  kar  shahr  base
gaañv  bichāre  jaa.eñ  kidhar
phūñkne  vaale  sochā  bhī
phailegī  ye  aag  kidhar
laakh  tarah  se  naam  tirā
baiThā  likkhūñ  kāġhaz  par
chhoTe  chhoTe  zehn  ke  log
ham  se  un  kī  baat  na  kar
peT  pe  patthar  bāñdh  na  le
haath  meñ  sajte  haiñ  patthar
raat  ke  pīchhe  raat  chale
ḳhvāb  huā  har  ḳhvāb-e-sahar
shab  bhar  to  āvāra  phire
lauT  chaleñ  ab  apne  ghar