vo  log  hī  har  daur  meñ  mahbūb  rahe  haiñ
jo  ishq  meñ  tālib  nahīñ  matlūb  rahe  haiñ
tūfān  kī  āvāz  to  aatī  nahīñ  lekin
lagtā  hai  safīne  se  kahīñ  Duub  rahe  haiñ
un  ko  na  pukāro  ġham-e-daurāñ  ke  laqab  se
jo  dard  kisī  naam  se  mansūb  rahe  haiñ
ham  bhī  tirī  sūrat  ke  parastār  haiñ  lekin
kuchh  aur  bhī  chehre  hameñ  marġhūb  rahe  haiñ
alfāz  meñ  iz.hār-e-mohabbat  ke  tarīqe
ḳhud  ishq  kī  nazroñ  meñ  bhī  māyūb  rahe  haiñ
is  ahd-e-basīrat  meñ  bhī  naqqād  hamāre
har  ek  baḌe  naam  se  mar.ūb  rahe  haiñ
itnā  bhī  na  ghabrāo  na.ī  tarz-e-adā  se
har  daur  meñ  badle  hue  uslūb  rahe  haiñ