tū  is  qadar  mujhe  apne  qarīb  lagtā  hai
tujhe  alag  se  jo  sochūñ  ajiib  lagtā  hai
jise  na  husn  se  matlab  na  ishq  se  sarokār
vo  shaḳhs  mujh  ko  bahut  bad-nasīb  lagtā  hai
hudūd-e-zāt  se  bāhar  nikal  ke  dekh  zarā
na  koī  ġhair  na  koī  raqīb  lagtā  hai
ye  dostī  ye  marāsim  ye  chāhateñ  ye  ḳhulūs
kabhī  kabhī  mujhe  sab  kuchh  ajiib  lagtā  hai
ufuq  pe  duur  chamaktā  huā  koī  taarā
mujhe  charāġh-e-dayār-e-habīb  lagtā  hai