diida  o  dil  meñ  koī  husn  bikhartā  hī  rahā
laakh  pardoñ  meñ  chhupā  koī  sañvartā  hī  rahā
raushnī  kam  na  huī  vaqt  ke  tūfānoñ  meñ
dil  ke  dariyā  meñ  koī  chāñd  utartā  hī  rahā
rāste  bhar  koī  aahaT  thī  ki  aatī  hī  rahī
koī  saaya  mire  baazū  se  guzartā  hī  rahā
miT  gayā  par  tirī  bāñhoñ  ne  sameTā  na  mujhe
shahr  dar  shahr  maiñ  galiyoñ  meñ  bikhartā  hī  rahā
lamha  lamha  rahe  āñkhoñ  meñ  andhere  lekin
koī  sūraj  mire  siine  meñ  ubhartā  hī  rahā