maanā  ki  rañg  rañg  tirā  pairahan  bhī  hai
par  is  meñ  kuchh  karishma-e-aks-e-badan  bhī  hai
aql-e-ma.āsh  o  hikmat-e-duniyā  ke  bāvajūd
ham  ko  aziiz  ishq  kā  dīvāna-pan  bhī  hai
mutrib  bhī  tū  nadīm  bhī  tū  sāqiyā  bhī  tū
tū  jān-e-anjuman  hī  nahīñ  anjuman  bhī  hai
baazū  chhuā  jo  tū  ne  to  us  din  khulā  ye  raaz
tū  sirf  rañg-o-bū  hī  nahīñ  hai  badan  bhī  hai
ye  daur  kis  tarah  se  kaTegā  pahāḌ  sā
yaaro  batāo  ham  meñ  koī  kohkan  bhī  hai