aa.e  kyā  kyā  yaad  nazar  jab  paḌtī  in  dālānoñ  par
us  kā  kāġhaz  chipkā  denā  ghar  ke  raushan-dānoñ  par
aaj  bhī  jaise  shāne  par  tum  haath  mire  rakh  detī  ho
chalte  chalte  ruk  jaatā  huuñ  saarī  kī  dūkānoñ  par
barkhā  kī  to  baat  hī  chhoḌo  chanchal  hai  purvā.ī  bhī
jaane  kis  kā  sabz  dupaTTā  pheñk  ga.ī  hai  dhānoñ  par
shahr  ke  tapte  fuTpāthoñ  par  gaañv  ke  mausam  saath  chaleñ
būḌhe  bargad  haath  sā  rakh  deñ  mere  jalte  shānoñ  par
saste  dāmoñ  le  to  aate  lekin  dil  thā  bhar  aayā
jaane  kis  kā  naam  khudā  thā  pītal  ke  gul-dānoñ  par
us  kā  kyā  man-bhed  batā.ūñ  us  kā  kyā  andāz  kahūñ
baat  bhī  merī  sunñā  chāhe  haath  bhī  rakkhe  kānoñ  par
aur  bhī  siina  kasne  lagtā  aur  kamar  bal  khā  jaatī
jab  bhī  us  ke  paañv  phisalne  lagte  the  Dhalvānoñ  par
sher  to  un  par  likkhe  lekin  auroñ  se  mansūb  kiye
un  ko  kyā  kyā  ġhussa  aayā  nazmoñ  ke  unvānoñ  par
yaaro  apne  ishq  ke  qisse  yuuñ  bhī  kam  mash.hūr  nahīñ
kal  to  shāyad  novel  likkhe  jaa.eñ  in  rūmānoñ  par