mauj-e-gul  mauj-e-sabā  mauj-e-sahar  lagtī  hai
sar  se  pā  tak  vo  samāñ  hai  ki  nazar  lagtī  hai
ham  ne  har  gaam  pe  sajdoñ  ke  jalā.e  haiñ  charāġh
ab  hameñ  terī  galī  rāhguzar  lagtī  hai
lamhe  lamhe  meñ  basī  hai  tirī  yādoñ  kī  mahak
aaj  kī  raat  to  ḳhushbū  kā  safar  lagtī  hai
jal  gayā  apnā  nasheman  to  koī  baat  nahīñ
dekhnā  ye  hai  ki  ab  aag  kidhar  lagtī  hai
saarī  duniyā  meñ  ġharīboñ  kā  lahū  bahtā  hai
har  zamīñ  mujh  ko  mire  ḳhuun  se  tar  lagtī  hai
koī  āsūda  nahīñ  ahl-e-siyāsat  ke  sivā
ye  sadī  dushman-e-arbāb-e-hunar  lagtī  hai
vāqi.a  shahr  meñ  kal  to  koī  aisā  na  huā
ye  to  aḳhbār  ke  daftar  kī  ḳhabar  lagtī  hai
lucknow  kyā  tirī  galiyoñ  kā  muqaddar  thā  yahī
har  galī  aaj  tirī  ḳhāk-basar  lagtī  hai