zamīñ  hogī  kisī  qātil  kā  dāmāñ  ham  na  kahte  the
akārat  jā.egā  ḳhūn-e-shahīdāñ  ham  na  kahte  the
ilāj-e-chāk-e-pairāhan  huā  to  is  tarah  hogā
siyā  jā.egā  kāñToñ  se  garebāñ  ham  na  kahte  the
tarāne  kuchh  diye  lafzoñ  meñ  ḳhud  ko  qaid  kar  leñge
ajab  andāz  se  phailegā  zindāñ  ham  na  kahte  the
koī  itnā  na  hogā  laash  bhī  le  jā  ke  dafnā  de
inhīñ  saḌkoñ  pe  mar  jā.egā  insāñ  ham  na  kahte  the
nazar  lipTī  hai  sholoñ  meñ  lahū  taptā  hai  āñkhoñ  meñ
uThā  hī  chāhtā  hai  koī  tūfāñ  ham  na  kahte  the
chhalakte  jaam  meñ  bhīgī  huī  āñkheñ  utar  aa.iiñ
satā.egī  kisī  din  yād-e-yārāñ  ham  na  kahte  the
na.ī  tahzīb  kaise  lucknow  ko  raas  aa.egī
ujaḌ  jā.egā  ye  shahr-e-ġhazālāñ  ham  na  kahte  the