har  ek  ruuh  meñ  ik  ġham  chhupā  lage  hai  mujhe
ye  zindagī  to  koī  bad-duā  lage  hai  mujhe
pasand-e-ḳhātir-e-ahl-e-vafā  hai  muddat  se
ye  dil  kā  daaġh  jo  ḳhud  bhī  bhalā  lage  hai  mujhe
jo  āñsuoñ  meñ  kabhī  raat  bhiig  jaatī  hai
bahut  qarīb  vo  āvāz-e-pā  lage  hai  mujhe
maiñ  so  bhī  jā.ūñ  to  kyā  merī  band  āñkhoñ  meñ
tamām  raat  koī  jhāñktā  lage  hai  mujhe
maiñ  jab  bhī  us  ke  ḳhayāloñ  meñ  kho  sā  jaatā  huuñ
vo  ḳhud  bhī  baat  kare  to  burā  lage  hai  mujhe
maiñ  sochtā  thā  ki  lauTūñgā  ajnabī  kī  tarah
ye  merā  gaañv  to  pahchāntā  lage  hai  mujhe
na  jaane  vaqt  kī  raftār  kyā  dikhātī  hai
kabhī  kabhī  to  baḌā  ḳhauf  sā  lage  hai  mujhe
bikhar  gayā  hai  kuchh  is  tarah  aadmī  kā  vajūd
har  ek  fard  koī  sāneha  lage  hai  mujhe
ab  ek  aadh  qadam  kā  hisāb  kyā  rakhiye
abhī  talak  to  vahī  fāsla  lage  hai  mujhe
hikāyat-e-ġham-e-dil  kuchh  kashish  to  rakhtī  hai
zamāna  ġhaur  se  suntā  huā  lage  hai  mujhe