tum  pe  kyā  biit  ga.ī  kuchh  to  batāo  yaaro
maiñ  koī  ġhair  nahīñ  huuñ  ki  chhupāo  yaaro
in  añdheroñ  se  nikalne  kī  koī  raah  karo
ḳhūn-e-dil  se  koī  mish.al  hī  jalāo  yaaro
ek  bhī  ḳhvāb  na  ho  jin  meñ  vo  āñkheñ  kyā  haiñ
ik  na  ik  ḳhvāb  to  āñkhoñ  meñ  basāo  yaaro
bojh  duniyā  kā  uThā.ūñgā  akelā  kab  tak
ho  sake  tum  se  to  kuchh  haath  baTāo  yaaro
zindagī  yuuñ  to  na  bāñhoñ  meñ  chalī  aa.egī
ġham-e-daurāñ  ke  zarā  naaz  uThāo  yaaro
umr-bhar  qatl  huā  huuñ  maiñ  tumhārī  ḳhātir
āḳhirī  vaqt  to  suulī  na  chaḌhāo  yaaro
aur  kuchh  der  tumheñ  dekh  ke  jī  luuñ  Thahro
merī  bālīñ  se  abhī  uTh  ke  na  jaao  yaaro