zarā  sī  baat  pe  har  rasm  toḌ  aayā  thā
dil-e-tabāh  ne  bhī  kyā  mizāj  paayā  thā
guzar  gayā  hai  koī  lamha-e-sharar  kī  tarah
abhī  to  maiñ  use  pahchān  bhī  na  paayā  thā
muaaf  kar  na  sakī  merī  zindagī  mujh  ko
vo  ek  lamha  ki  maiñ  tujh  se  tañg  aayā  thā
shagufta  phuul  simaT  kar  kalī  bane  jaise
kuchh  is  kamāl  se  tū  ne  badan  churāyā  thā
patā  nahīñ  ki  mire  ba.ad  un  pe  kyā  guzrī
maiñ  chand  ḳhvāb  zamāne  meñ  chhoḌ  aayā  thā