tamām  umr  azāboñ  kā  silsila  to  rahā
ye  kam  nahīñ  hameñ  jiine  kā  hausla  to  rahā
guzar  hī  aa.e  kisī  tarah  tere  dīvāne
qadam  qadam  pe  koī  saḳht  marhala  to  rahā
chalo  na  ishq  hī  jiitā  na  aql  haar  sakī
tamām  vaqt  maze  kā  muqābla  to  rahā
maiñ  terī  zaat  meñ  gum  ho  sakā  na  tū  mujh  meñ
bahut  qarīb  the  ham  phir  bhī  fāsla  to  rahā
ye  aur  baat  ki  har  chheḌ  lā-ubālī  thī
tirī  nazar  kā  diloñ  se  mo.āmla  to  rahā