ranj-o-ġham  māñge  hai  andoh-o-balā  māñge  hai
dil  vo  mujrim  hai  ki  ḳhud  apnī  sazā  māñge  hai
chup  hai  har  zaḳhm-e-gulū  chup  hai  shahīdoñ  kā  lahū
dast-e-qātil  hai  jo  mehnat  kā  sila  māñge  hai
tū  bhī  ik  daulat-e-nāyāb  hai  par  kyā  kahiye
zindagī  aur  bhī  kuchh  tere  sivā  māñge  hai
khoī  khoī  ye  nigāheñ  ye  ḳhamīda  palkeñ
haath  uThā.e  koī  jis  tarah  duā  māñge  hai
raas  ab  aa.egī  ashkoñ  kī  na  aahoñ  kī  fazā
aaj  kā  pyaar  na.ī  āb-o-havā  māñge  hai
bāñsurī  kā  koī  naġhma  na  sahī  chīḳh  sahī
har  sukūt-e-shab-e-ġham  koī  sadā  māñge  hai
laakh  munkir  sahī  par  zauq-e-parastish  merā
aaj  bhī  koī  sanam  koī  ḳhudā  māñge  hai
saañs  vaise  hī  zamāne  kī  rukī  jaatī  hai
vo  badan  aur  bhī  kuchh  tañg  qabā  māñge  hai
dil  har  ik  haal  se  begāna  huā  jaatā  hai
ab  tavajjoh  na  taġhāful  na  adā  māñge  hai