kafan  kī  jeb  bhī  ḳhālī  nahīñ  hai
ye  bad-halī  hai  ḳhush-hālī  nahīñ  hai
to  kyā  ye  phuul  ḳhud  hī  khil  gayā  thā
jo  kahtā  hai  koī  maalī  nahīñ  hai
unheñ  mat  dekh  ḳhush  rahne  de  un  ko
tirī  ḳhātir  ye  dīvālī  nahīñ  hai
tirī  tasvīr  jhūTī  hai  musavvir
mire  shahroñ  meñ  hariyālī  nahīñ  hai
vo  ghar  girne  lagā  hai  jis  kī  ham  ne
abhī  buniyād  bhī  Daalī  nahīñ  hai
to  kyā  mujh  ko  sazā  degā  vo  jis  ne
mirī  ik  baat  bhī  Taalī  nahīñ  hai
tire  baare  meñ  jab  sochā  to  dekhā
ye  raat  aisī  bhī  ab  kaalī  nahīñ  hai
na  kar  'momin'  yahāñ  koī  tamāshā
ye  duniyā  dekhne  vaalī  nahīñ  hai