tumhāre  jashn  ko  jashn-e-farozāñ  ham  nahīñ  kahte
lahū  kī  garm  būñdoñ  ko  charāġhāñ  ham  nahīñ  kahte
agar  had  se  guzar  jaa.e  davā  to  ban  nahīñ  jaatā
kisī  bhī  dard  ko  duniyā  kā  darmāñ  ham  nahīñ  kahte
nazar  kī  intihā  koī  na  dil  kī  intihā  koī
kisī  bhī  husn  ko  husn-e-farāvāñ  ham  nahīñ  kahte
kisī  āshiq  ke  shāne  par  bikhar  jaa.e  to  kyā  kahnā
magar  is  zulf  ko  zulf-e-pareshāñ  ham  nahīñ  kahte
na  bū-e-gul  mahaktī  hai  na  shāḳh-e-gul  lachaktī  hai
abhī  apne  gulistāñ  ko  gulistāñ  ham  nahīñ  kahte
bahāroñ  se  junūñ  ko  har  tarah  nisbat  sahī  lekin
shaguft-e-gul  ko  āshiq  kā  garebāñ  ham  nahīñ  kahte
hazāroñ  saal  biite  haiñ  hazāroñ  saal  bīteñge
badal  jā.egī  kal  taqdīr-e-insāñ  ham  nahīñ  kahte