sub.h  ke  dard  ko  rātoñ  kī  jalan  ko  bhūleñ
kis  ke  ghar  jaa.eñ  ki  is  va.ada-shikan  ko  bhūleñ
aaj  tak  choT  dabā.e  nahīñ  dabtī  dil  kī
kis  tarah  us  sanam-e-sañg-badan  ko  bhūleñ
ab  sivā  is  ke  mudāvā-e-ġham-e-dil  kyā  hai
itnī  pī  jaa.eñ  ki  har  rañj-o-mehan  ko  bhūleñ
aur  tahzīb-e-ġham-e-ishq  nibhā  deñ  kuchh  din
āḳhirī  vaqt  meñ  kyā  apne  chalan  ko  bhūleñ