tulū-e-sub.h  hai  nazreñ  uThā  ke  dekh  zarā
shikast-e-zulmat-e-shab  muskurā  ke  dekh  zarā
ġham-e-bahār  o  ġham-e-yār  hī  nahīñ  sab  kuchh
ġham-e-jahāñ  se  bhī  dil  ko  lagā  ke  dekh  zarā
bahār  kaun  sī  sauġhāt  le  ke  aa.ī  hai
hamāre  zaḳhm-e-tamannā  tū  aa  ke  dekh  zarā
har  ek  samt  se  ik  āftāb  ubhregā
charāġh-e-dair-o-haram  to  bujhā  ke  dekh  zarā
vajūd-e-ishq  kī  tārīḳh  kā  pata  to  chale
varaq  ulaT  ke  tū  arz  o  samā  ke  dekh  zarā
mile  to  tū  hī  mile  aur  kuchh  qubūl  nahīñ
jahāñ  meñ  hausle  ahl-e-vafā  ke  dekh  zarā
tirī  nazar  se  hai  rishta  mire  girebāñ  kā
kidhar  hai  merī  taraf  muskurā  ke  dekh  zarā