mujhe  ma.alūm  hai  maiñ  saarī  duniyā  kī  amānat  huuñ
magar  vo  lamha  jab  maiñ  sirf  apnā  ho  sā  jaatā  huuñ
maiñ  tum  se  duur  rahtā  huuñ  to  mere  saath  rahtī  ho
tumhāre  paas  aatā  huuñ  to  tanhā  ho  sā  jaatā  huuñ
maiñ  chāhe  sach  hī  bolūñ  har  tarah  se  apne  baare  meñ
magar  tum  muskurātī  ho  to  jhūTā  ho  sā  jaatā  huuñ
tire  gul-rañg  hoñToñ  se  dahaktī  zindagī  pī  kar
maiñ  pyāsā  aur  pyāsā  aur  pyāsā  ho  sā  jaatā  huuñ
tujhe  bāñhoñ  meñ  bhar  lene  kī  ḳhvāhish  yuuñ  ubhartī  hai
ki  maiñ  apnī  nazar  meñ  aap  rusvā  ho  sā  jaatā  huuñ