ai  dard-e-ishq  tujh  se  mukarne  lagā  huuñ  maiñ
mujh  ko  sambhāl  had  se  guzarne  lagā  huuñ  maiñ
pahle  haqīqatoñ  hī  se  matlab  thā  aur  ab
ek  aadh  baat  farz  bhī  karne  lagā  huuñ  maiñ
har  aan  TūTte  ye  aqīdoñ  ke  silsile
lagtā  hai  jaise  aaj  bikharne  lagā  huuñ  maiñ
ai  chashm-e-yār  merā  sudharnā  muhāl  thā
terā  kamāl  hai  ki  sudharne  lagā  huuñ  maiñ
ye  mehr-o-māh  arz-o-samā  mujh  meñ  kho  ga.e
ik  kā.enāt  ban  ke  ubharne  lagā  huuñ  maiñ
itnoñ  kā  pyaar  mujh  se  sambhālā  na  jā.egā
logo  tumhāre  pyaar  se  Darne  lagā  huuñ  maiñ
dillī  kahāñ  ga.iiñ  tire  kūchoñ  kī  raunaqeñ
galiyoñ  se  sar  jhukā  ke  guzarne  lagā  huuñ  maiñ