ash.ār  mire  yuuñ  to  zamāne  ke  liye  haiñ
kuchh  sher  faqat  un  ko  sunāne  ke  liye  haiñ
ab  ye  bhī  nahīñ  Thiik  ki  har  dard  miTā  deñ
kuchh  dard  kaleje  se  lagāne  ke  liye  haiñ
socho  to  baḌī  chiiz  hai  tahzīb  badan  kī
varna  ye  faqat  aag  bujhāne  ke  liye  haiñ
āñkhoñ  meñ  jo  bhar  loge  to  kāñToñ  se  chubheñge
ye  ḳhvāb  to  palkoñ  pe  sajāne  ke  liye  haiñ
dekhūñ  tire  hāthoñ  ko  to  lagtā  hai  tire  haath
mandir  meñ  faqat  diip  jalāne  ke  liye  haiñ
ye  ilm  kā  saudā  ye  risāle  ye  kitābeñ
ik  shaḳhs  kī  yādoñ  ko  bhulāne  ke  liye  haiñ