ḳhud-ba-ḳhud  mai  hai  ki  shīshe  meñ  bharī  aave  hai
kis  balā  kī  tumheñ  jādū-nazarī  aave  hai
dil  meñ  dar  aave  hai  har  sub.h  koī  yaad  aise
juuñ  dabe-pāñv  nasīm-e-saharī  aave  hai
aur  bhī  zaḳhm  hue  jaate  haiñ  gahre  dil  ke
ham  to  samjhe  the  tumheñ  chāragarī  aave  hai
ek  qatra  bhī  lahū  jab  na  rahe  siine  meñ
tab  kahīñ  ishq  meñ  kuchh  be-jigarī  aave  hai
chāk-e-dāmāñ-o-girebāñ  ke  bhī  ādāb  haiñ  kuchh
har  divāne  ko  kahāñ  jāma-darī  aave  hai
shajar-e-ishq  to  māñge  hai  lahū  ke  aañsū
tab  kahīñ  jā  ke  koī  shāḳh  harī  aave  hai
tū  kabhī  raag  kabhī  rañg  kabhī  ḳhushbū  hai
kaisī  kaisī  na  tujhe  ishva-garī  aave  hai
āp-apne  ko  bhulānā  koī  āsān  nahīñ
baḌī  mushkil  se  miyāñ  be-ḳhabarī  aave  hai
ai  mire  shahr-e-nigārāñ  tirā  kyā  haal  huā
chappe  chappe  pe  mire  aañkh  bharī  aave  hai
sāhibo  husn  kī  pahchān  koī  khel  nahīñ
dil  lahū  ho  to  kahīñ  dīda-varī  aave  hai