mai-kashī  ab  mirī  aadat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
ye  bhī  ik  talḳh  haqīqat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
fitna-e-aql  ke  juuyā  mirī  duniyā  se  guzar
merī  duniyā  meñ  mohabbat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
dil  meñ  vo  shorish-e-jazbāt  kahāñ  tere  baġhair
ek  ḳhāmosh  qayāmat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
mujh  ko  ḳhud  apnī  javānī  kī  qasam  hai  ki  ye  ishq
ik  javānī  kī  sharārat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ