ham  se  bhāgā  na  karo  duur  ġhazāloñ  kī  tarah
ham  ne  chāhā  hai  tumheñ  chāhne  vāloñ  kī  tarah
ḳhud-ba-ḳhud  niind  sī  āñkhoñ  meñ  ghulī  jaatī  hai
mahkī  mahkī  hai  shab-e-ġham  tire  bāloñ  kī  tarah
tere  bin  raat  ke  hāthoñ  pe  ye  tāroñ  ke  ayāġh
ḳhūb-sūrat  haiñ  magar  zahr  ke  pyāloñ  kī  tarah
aur  kyā  is  se  ziyāda  koī  narmī  bartūñ
dil  ke  zaḳhmoñ  ko  chhuā  hai  tire  gāloñ  kī  tarah
gungunāte  hue  aur  aa  kabhī  un  sīnoñ  meñ
terī  ḳhātir  jo  mahakte  haiñ  shivāloñ  kī  tarah
terī  zulfeñ  tirī  āñkheñ  tire  abrū  tire  lab
ab  bhī  mash.hūr  haiñ  duniyā  meñ  misāloñ  kī  tarah
ham  se  māyūs  na  ho  ai  shab-e-daurāñ  ki  abhī
dil  meñ  kuchh  dard  chamakte  haiñ  ujāloñ  kī  tarah
mujh  se  nazreñ  to  milāo  ki  hazāroñ  chehre
merī  āñkhoñ  meñ  sulagte  haiñ  savāloñ  kī  tarah
aur  to  mujh  ko  milā  kyā  mirī  mehnat  kā  sila
chand  sikke  haiñ  mire  haath  meñ  chhāloñ  kī  tarah
justujū  ne  kisī  manzil  pe  Thaharne  na  diyā
ham  bhaTakte  rahe  āvāra  ḳhayāloñ  kī  tarah
zindagī  jis  ko  tirā  pyaar  milā  vo  jaane
ham  to  nākām  rahe  chāhne  vāloñ  kī  tarah