dil  ko  har  lamha  bachāte  rahe  jazbāt  se  ham
itne  majbūr  rahe  haiñ  kabhī  hālāt  se  ham
nashsha-e-mai  se  kahīñ  pyaas  bujhī  hai  dil  kī
tishnagī  aur  baḌhā  laa.e  ḳharājāt  se  ham
aaj  to  mil  ke  bhī  jaise  na  mile  hoñ  tujh  se
chauñk  uThte  the  kabhī  terī  mulāqāt  se  ham
ishq  meñ  aaj  bhī  hai  nīm-nigāhī  kā  chalan
pyaar  karte  haiñ  usī  husn-e-rivāyāt  se  ham
markaz-e-dīda-e-ḳhūbān-e-jahāñ  haiñ  bhī  to  kyā
ek  nisbat  bhī  to  rakhte  haiñ  tirī  zaat  se  ham