is  kī  āñkhoñ  pe  vaar  deñ  āñkheñ
ik  nazar  hī  meñ  haar  deñ  āñkheñ
dil  mujhe  us  ne  be-qarār  diyā
aur  be-iḳhtiyār  diiñ  āñkheñ
pahle  chehra  chhupā  liyā  us  ne
ba.ad  meñ  ishtihār  diiñ  āñkheñ
dil  vahīñ  rah  gayā  jahāñ  ham  ne
sarsarī  sī  guzār  diiñ  āñkheñ
ḳhvāb  mere  churā  liye  us  ne
jis  ko  maiñ  ne  udhār  diiñ  āñkheñ
maiñ  ne  āñkhoñ  meñ  jhāñknā  chāhā
us  ne  dil  meñ  utaar  diiñ  āñkheñ
maiñ  to  ḳhāmosh  hī  rahā  lekin
vaqt-e-ruḳhsat  pukār  diiñ  āñkheñ
tū  bhī  'momin'  kamāl  kartā  hai
tū  ne  sūraj  se  chaar  diiñ  āñkheñ