Hasan Abidi

safar mein ek jag tamam ho gaya

Hasan Abidi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1929-2005
safar meñ ek jag tamām ho gayā
ab apne ghar kā rāsta bhī kho gayā
phir us ke pairahan kī bū na mil sakī
vo mere ḳhuuñ meñ āstīñ Dubo gayā
vo neshtar jo us ke haath meñ na thā
gayā to merī saañs meñ piro gayā
ab āñsuoñ kī fasl kāTte raho
judā.iyoñ ke biij vo to bo gayā
na jaane kis nagar aaj shaam ho
sahar huī to jī udaas ho gayā
guzar ga.ī jo be-gharoñ pe kyā kaheñ
zamīñ ko abr-e-barshgāl dho gayā
mirī to aañkh nam na ho sakī magar
vo mujh pe mere āñsuoñ se ro gayā
likhegā kaun is sadī kī dāstāñ
har ek pal hazār saal ho gayā
Top Urdushayar.com