Hasan Abidi

kaun dekhe meri shaKHon ke samar TuTe hue

Hasan Abidi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1929-2005
kaun dekhe merī shāḳhoñ ke samar TuuTe hue
ghar se bāhar rāstoñ meñ haiñ shajar TuuTe hue
luT gayā din kā asāsa aur baaqī rah ga.e
shaam kī dahlīz par laal o guhar TuuTe hue
yād-e-yārāñ dil meñ aa.ī huuk ban kar rah ga.ī
jaise ik zaḳhmī parinda jis ke par TuuTe hue
raat hai aur aatī jaatī sā.ateñ āñkhoñ meñ haiñ
jaise ā.īne bisāt-e-ḳhvāb par TuuTe hue
ābgīne pattharoñ par sar-nigūñ hote ga.e
aur ham bach kar nikal aa.e magar TuuTe hue
mil ga.e miTTī meñ kyā kyā muntazir āñkhoñ ke ḳhvāb
kis ne dekhe haiñ sitāre ḳhaak par TuuTe hue
vo jo dil kī mamlikat thī bābarī masjid huī
bastiyāñ sunsān ghar vīrān dar TuuTe hue
Top Urdushayar.com