Ehtisham Akhtar

dil-e-barbaad ko chhoTa sa makan bhi dega

Ehtisham Akhtar

1944
dil-e-barbād ko chhoTā sā makāñ bhī degā
jab nayā zaḳhm bharegā to nishāñ bhī degā
pahle guzrūñgā maiñ ummīd o yaqīñ kī rah se
phir tirā pyaar mujhe vahm-o-gumāñ bhī degā
paikar-e-rañg jo pal bhar meñ bikhar jā.egā
jāgtī āñkhoñ ko ḳhvāboñ kā jahāñ bhī degā
tum jalānā mujhe chāho to jalā do lekin
naḳhl-e-tāza jo jalegā to dhuāñ bhī degā
vaqt detā hai jinheñ aaj khilaune 'aḳhtar'
unhīñ atfāl ko kal tīr-o-sināñ bhī degā
Top Urdushayar.com