is  dil  ko  tah-e-teġh  sulā  kyoñ  nahīñ  dete
har  roz  kā  jhagḌā  hai  miTā  kyoñ  nahīñ  dete
chehre  se  naqāb  aap  uThā  kyoñ  nahīñ  dete
halkī  sī  jhalak  ek  dikhā  kyoñ  nahīñ  dete
hairāñ  huuñ  ki  ye  shoḳh-o-hasīñ  māh-jabīñ  log
badle  meñ  vafāoñ  ke  vafā  kyoñ  nahīñ  dete
rahzan  ho  to  phir  saath  chale  aate  ho  kyūñkar
rahbar  ho  to  manzil  kā  pata  kyoñ  nahīñ  dete
ġham  aur  bhī  dil  kā  jo  shab-e-hijr  baḌhā.e
is  sham-e-fasurda  ko  bujhā  kyoñ  nahīñ  dete
is  dil  kī  tabāhī  pe  pashemāñ  ho  agar  tum
is  ḳhāna-vīrāñ  ko  basā  kyoñ  nahīñ  dete
vo  baat  ki  jo  tark-e-ta.alluq  kā  sabab  hai
vo  baat  hameñ  aap  batā  kyoñ  nahīñ  dete
betāb  mohabbat  meñ  ho  gar  itne  hī  'nayyar'
afsāna-e-dil  un  ko  sunā  kyoñ  nahīñ  dete