Sewak Nayyar

hua hai har tarah pamal qalb-e-na-tawan mera

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
huā hai har tarah pāmāl qalb-e-nā-tavāñ merā
bigāḌegā bhalā ab aur kyā ye āsmāñ merā
sunā.ūñ apnī rūdād-e-mohabbat kis ko duniyā meñ
na koī ham-nafas merā na koī rāz-dāñ merā
nazar se duur hai manzil abhī hai bebasī apnī
bhaTaktā hai abhī rāh-e-junūñ meñ kārvāñ merā
hazāroñ āñdhiyāñ aa.eñ hazāroñ bijliyāñ chamkeñ
rahegā hashr tak ābād yūñhī gulsitāñ merā
junūn-o-hosh kī har kaifiyat se be-ḳhabar ho kar
tumhārī yaad meñ Duubā hai qalb-e-nā-tavāñ merā
maiñ har ik āzmā.ish ke liye tayyār huuñ 'nayyar'
vo jis tarah bhī chāheñ shauq se leñ imtihāñ merā
Top Urdushayar.com