huā  hai  har  tarah  pāmāl  qalb-e-nā-tavāñ  merā
bigāḌegā  bhalā  ab  aur  kyā  ye  āsmāñ  merā
sunā.ūñ  apnī  rūdād-e-mohabbat  kis  ko  duniyā  meñ
na  koī  ham-nafas  merā  na  koī  rāz-dāñ  merā
nazar  se  duur  hai  manzil  abhī  hai  bebasī  apnī
bhaTaktā  hai  abhī  rāh-e-junūñ  meñ  kārvāñ  merā
hazāroñ  āñdhiyāñ  aa.eñ  hazāroñ  bijliyāñ  chamkeñ
rahegā  hashr  tak  ābād  yūñhī  gulsitāñ  merā
junūn-o-hosh  kī  har  kaifiyat  se  be-ḳhabar  ho  kar
tumhārī  yaad  meñ  Duubā  hai  qalb-e-nā-tavāñ  merā
maiñ  har  ik  āzmā.ish  ke  liye  tayyār  huuñ  'nayyar'
vo  jis  tarah  bhī  chāheñ  shauq  se  leñ  imtihāñ  merā