qalb-e-alam-nasīb  kī  tishna-labī  bujhā.e  jā
ai  mere  sāqiyā  mujhe  shām-o-sahar  pilā.e  jā
ai  dil-e-be-qarār  sun  rone  se  fā.eda  hai  kyā
jis  ne  bhulā  diyā  tujhe  tū  bhī  use  bhulā.e  jā
barsar-e-bām  aa  ke  tū  parda-e-ruḳh  haTā  zarā
ham  bhī  haiñ  sāhib-e-nazar  ham  ko  bhī  āzmā.e  jā
zauq-e-tulū-e-sub.h  bhī  degī  ye  tīrgī  tujhe
raat  tavīl  hai  to  kyā  dil  kā  diyā  jalā.e  jā
jān-e-bahār-e-gulsitāñ  zohra-jamāl  nāznīñ
'nayyar'-e-ḳhush-ḳhayāl  ke  fikr-o-nazar  pe  chhā.e  jā