ḳhaak  tak  mere  āshiyāne  kī
le  uḌī  hai  havā  zamāne  kī
apnī  taqdīr  āzmāne  kī
aarzū  hai  kisī  ko  paane  kī
kyā  karoge  hamārā  dil  le  kar
tum  ko  aadat  hai  bhuul  jaane  kī
sach  kaho  kis  se  pyaar  hai  tum  ko
ham  se  kyā  baat  hai  chhupāne  kī
ham  yūñhī  chāhte  raheñge  tumheñ
ham  ko  parvā  nahīñ  zamāne  kī
barq-o-bārāñ  se  pūchh  ai  bulbul
dāstāñ  mere  āshiyāne  kī
koī  tadbīr  ai  dil-e-nādāñ
baat  bigḌī  huī  banāne  kī
sāqiyā  terī  mai-fishāñ  nazreñ
aabrū  haiñ  sharāb  ḳhāne  kī
ham  ko  pāmāl  kar  ga.ī  'nayyar'
har  adā  sañg-dil  zamāne  kī