dil-e-betāb  kā  payām  liyā
phir  kisī  ne  mirā  salām  liyā
ruuTh  kar  ham  se  tū  ne  ai  zālim
kis  ḳhatā  kā  hai  intiqām  liyā
ho  ke  majbūr  josh-e-ulfat  se
ham  ne  dāman  kisī  kā  thaam  liyā
phuul  jhaḌne  lage  zabāñ  se  mirī
jab  kisī  gul-badan  kā  naam  liyā
kaam  aa.e  na  aql-o-hosh  jahāñ
ham  ne  dīvāngī  se  kaam  liyā
Dagmagāte  hue  mire  dil  ko
us  hasīñ  ajnabī  ne  thaam  liyā
shiddat-e-ranj-o-ġham  meñ  ai  'nayyar'
ham  ne  jām-o-subū  se  kaam  liyā