parda  haTā  ke  jab  vo  hasīñ  muskurā.egā
bijlī  hamāre  hosh-o-ḳhirad  par  girā.egā
kyā  thī  ḳhabar  ki  tark-e-ta.alluq  ke  baad  bhī
ham  ko  vo  shoḳh  parda-nashīñ  yaad  aa.egā
ummīd-o-ārzū  kī  tabāhī  to  dekh  lī
ab  aur  kyā  hameñ  ye  muqaddar  dikhā.egā
ai  qalb-e-zār  sabr-o-tahammul  se  kaam  le
kab  tak  kisī  kī  yaad  meñ  aañsū  bahā.egā
merī  zabāñ  se  sun  na  sake  vo  agar  to  kyā
rūdād  merī  un  ko  zamāna  sunā.egā
jis  raaz  ko  chhupā  na  sake  qais-o-kohkan
ai  qalb-e-ġham-nasīb  tū  kaise  chhupā.egā
'nayyar'  ġhamoñ  kī  tez  havāoñ  ke  sāmne
kab  tak  ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  sham.a  jalā.egā