jab  shab-e-furqat  kī  tārīkī  se  ghabrātā  huuñ  maiñ
terī  yādoñ  se  dil-e-muztar  ko  bahlātā  huuñ  maiñ
jab  kisī  zohrā-jabīñ  ko  sāmne  paatā  huuñ  maiñ
hosh  kī  har  dastaras  se  duur  ho  jaatā  huuñ  maiñ
ārzūeñ  laakh  hotī  haiñ  mire  dil  meñ  magar
sāmne  aate  ho  jab  tum  kuchh  na  kah  paatā  huuñ  maiñ
sust-rau  hotī  hai  jab  rāh-e-talab  meñ  justujū
sho.ala-e-azm-o-amal  se  dil  ko  garmātā  huuñ  maiñ
chhoḌ  de  us  be-muravvat  kī  tamannā  chhoḌ  de
rāt-din  ye  baat  apne  dil  ko  samjhātā  huuñ  maiñ
jab  kabhī  guzre  dinoñ  kī  yaad  aatī  hai  mujhe
dil  taḌaptā  hai  mirā  aur  ashk  barsātā  huuñ  maiñ
sāġhar-e-sahbā  se  'nayyar'  kyā  ġharaz  mujh  ko  bhalā
pī  ke  un  kī  mai-fishāñ  nazroñ  se  lahrātā  huuñ  maiñ