be-ruḳhī  se  na  pesh  aa  saaqī
TuuT  jā.egā  dil  mirā  saaqī
bhuul  jā.ūñ  maiñ  ranj-o-ġham  saare
aaj  aisā  nasha  pilā  saaqī
mai-kashoñ  se  hijāb  kyā  ma.anī
sāmne  be-naqāb  aa  saaqī
aah  maazī  mirā  hasīñ  maazī
lauT  kar  ab  na  aa.egā  saaqī
raaz  merī  siyāh-baḳhtī  kā
kaun  jaane  mire  sivā  saaqī
dasht-e-ġham  meñ  bhaTak  gayā  huuñ  maiñ
raah  koī  mujhe  dikhā  saaqī
dair-o-ka.aba  meñ  ghuum  kar  'nayyar'
terī  mahfil  meñ  aa  gayā  saaqī