mahfil  meñ  agar  sāqī-e-gulfām  nahīñ  hai
rindoñ  ko  mai-o-jām  se  kuchh  kaam  nahīñ  hai
ārām  se  haiñ  aur  sabhī  log  jahāñ  meñ
ham  ishq  ke  māroñ  ko  hī  ārām  nahīñ  hai
ai  rāhrav-e-rāh-e-mohabbat  ye  samajh  le
is  raah  meñ  rāhat  kā  kahīñ  naam  nahīñ  hai
lazzat-kash-e-āġhāz-e-mohabbat  hai  abhī  dil
dīvāne  ko  andesha-e-anjām  nahīñ  hai
kyā  aa.egā  vo  ahl-e-mohabbat  kī  nazar  meñ
duniyā-e-mohabbat  meñ  jo  badnām  nahīñ  hai
pur-nūr  hai  jo  aks-e-ruḳh-e-yār  se  'nayyar'
us  sub.h-e-munavvar  kī  koī  shaam  nahīñ  hai