ba-faiz-e-gardish-e-ayyām  ham  ko
kisī  sūrat  nahīñ  ārām  ham  ko
sukūñ  dushman  junūñ-parvar  irādao
na  kar  denā  kahīñ  badnām  ham  ko
fasurda  ḳhalvatoñ  meñ  yaad  aa  kar
rulāte  haiñ  vo  sub.h-o-shām  ham  ko
uThā  ai  mutribā  sāz-e-mohabbat
pilā  ai  sāqī-e-gulfām  ham  ko
na  ham  ko  zindagī  kī  hai  zarūrat
na  duniyā  se  hai  koī  kaam  ham  ko
kisī  kī  bevafā.ī  ke  fasāne
sunātā  hai  dil-e-nākām  ham  ko
kisī  ne  apnī  mast  āñkhoñ  se  'nayyar'
diyā  hai  pyaar  kā  paiġhām  ham  ko