rah-e-talab  meñ  na  kar  is  tarah  ḳharāb  mujhe
Thaharne  de  kahīñ  ai  chashm-e-intiḳhāb  mujhe
bulā  rahā  hai  kahīñ  ishq  sū-e-dār-o-rasan
pukārtā  hai  kahīñ  husn-e-be-naqāb  mujhe
maiñ  ek  zarra-e-nāchīz  hī  sahī  lekin
nigāh  vaale  samajhte  haiñ  āftāb  mujhe
bas  ek  jurm-e-mohabbat  pe  us  sitamgar  ne
diye  haiñ  shām-o-sahar  saikḌoñ  azaab  mujhe
luTī  luTī  sī  shab-e-ġham  hai  chāñdnī  'nayyar'
bujhā  bujhā  nazar  aatā  hai  māhtāb  mujhe