naqāb  chehre  se  mere  haTā  rahī  hai  ġhazal
hisār-e-zāt  se  bāhar  bulā  rahī  hai  ġhazal
ye  kaun  hai  jo  bahut  be-qarār  hai  mujh  meñ
ye  kis  ke  qurb  meñ  yuuñ  kasmasā  rahī  hai  ġhazal
vo  ḳhol  jis  meñ  muqayyad  huuñ  TūTne  ko  hai
mujhe  bahār  kā  muzhda  sunā  rahī  hai  ġhazal
vajūd  kā  huā  jaatā  hai  falsafa  paanī
rumūz-e-zāt  se  parde  uThā  rahī  hai  ġhazal
jo  mo'tariz  the  hue  vo  bhī  mo'tarif  us  ke
har  ek  daur  meñ  jādū-numā  rahī  hai  ġhazal
sahā  hai  ḳhud  pe  har  ik  tiir  tanz  kā  hañs  kar
piyā  hai  zahr  magar  muskurā  rahī  hai  ġhazal
hai  qadr-dān  ko  apne  ye  vaj.h-e-sarshārī
ye  hāsidoñ  ke  diloñ  ko  jalā  rahī  hai  ġhazal
ki  sirf  gul  hī  nahīñ  ḳhaar  se  bhī  nisbat  hai
ye  aur  baat  ki  bād-e-sabā  rahī  hai  ġhazal
kare  hai  us  pe  riyāzat  ki  us  kā  husn  khule
'obaid'  ke  liye  misl-e-hinā  rahī  hai  ġhazal
thā  ek  shaġhl  mirā  merī  ye  ġhazal-goī
'obaid'  zaat  ko  ab  apnī  bhā  rahī  hai  ġhazal