pur-kaif  kahīñ  ke  bhī  nazāre  na  raheñge
duniyā  meñ  agar  ishq  ke  maare  na  raheñge
duniyā-e-mohabbat  meñ  charāġhāñ  na  milegā
palkoñ  pe  agar  ashk  hamāre  na  raheñge
tum  chhoḌ  ke  mat  jaao  mujhe  shahr-e-balā  meñ
varna  mire  jiine  ke  sahāre  na  raheñge
tai  kar  lo  safar  shab  kā  ki  mauqa.a  hai  ġhanīmat
phir  charḳh-e-barīñ  pe  ye  sitāre  na  raheñge
ġham  ziist  ke  afsāne  kā  unvān  hasīñ  hai
ham  hoñge  kahāñ  ġham  jo  hamāre  na  raheñge
be-ma.anī  nazar  ā.eñge  ā.ankhoñ  ke  sahīfe
maujūd  agar  un  meñ  ishāre  na  raheñge
phir  kis  pe  yaqīñ  kaisā  bharam  kaisī  muravvat
a.azā  bhī  hamāre  jo  hamāre  na  raheñge