justujū  ke  safar  meñ  rahte  haiñ
ham  ki  paiham  ḳhabar  meñ  rahte  haiñ
ham  ko  kis  kī  nazar  meñ  rahnā  thā
aur  us  kī  nazar  meñ  rahte  haiñ
aarzū  tum  hamārī  mat  karnā
ham  duā  ke  asar  meñ  rahte  haiñ
ham-navā  apnā  koī  ban  na  sakā
yuuñ  to  paiham  safar  meñ  rahte  haiñ
kal  talak  the  charāġh-e-rāhguzar
bujh  ga.e  ham  to  ghar  meñ  rahte  haiñ
juḌ  rahī  hai  amal  se  ye  duniyā
ham  agar  aur  magar  meñ  rahte  haiñ
aib  kyūñkar  hoñ  be-hunar  meñ  'obaid'
aib  to  bā-hunar  meñ  rahte  haiñ