Obaidur Rahman

manzilen aur bhi hain wahm-o-guman se aage

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014

manzileñ aur bhī haiñ vahm-o-gumāñ se aage

ham ko karnā hai safar qaid-e-makāñ se aage

paikar-e-sher ko malbūs atā kyā kiije

jab taḳhayyul ho parvāz bayāñ se aage

aab aur ḳhaak ye bazm hameñ kyā raas aatī

ham ko jaanā thā sitāroñ ke jahāñ se aage

kab talak dair-o-haram ye hadīs-e-be-sūd

mas.ale aur haiñ nāqūs-o-azāñ se aage

justujū aur hai kuchh ahl-e-junūñ varna

kaun kartā hai safar jā-e-amāñ se aage

karb ko apne tamāsha na banāyā jaa.e

hai adab-gāh-e-vafā āh-o-fuġhāñ se aage

nazr-e-andesha na ho jaa.e kahīñ ziist 'obaid'

baat kuchh aur kareñ sūd-o-ziyāñ se aage

Top Urdushayar.com