ek  muddat  se  jo  siine  meñ  basā  hai  kyā  hai
karb-e-ehsās  hai  yā  karb-e-anā  hai  kyā  hai
daur-e-hāzir  meñ  har  ik  shaḳhs  hai  kyuuñ  sahmā  huā
dil  meñ  jo  ḳhauf  hai  vo  ḳhauf-e-fanā  hai  kyā  hai
mujh  ko  is  lafz  kā  mafhūm  batā  do  yaaro
dostī  naam  hai  jis  kā  vo  jafā  hai  kyā  hai
baat  matlab  kī  kahūñ  us  se  magar  pahle  zarā
ye  to  ma.alūm  ho  vo  ḳhush  hai  ḳhafā  hai  kyā  hai
is  qadar  rañj-o-alam  itne  masā.ib  tauba
zindagī  silsila-e-āh-o-bukā  hai  kyā  hai
jo  giraftār  huā  is  meñ  ulajhtā  hī  gayā
zulf-e-jānāñ  bhī  koī  dām-e-balā  hai  kyā  hai
kitnī  hī  baar  ye  chāhā  ki  zarā  dekhūñ  to
us  kī  āñkhoñ  meñ  jo  ik  naam  likhā  hai  kyā  hai