hai  aaj  añdherā  har  jānib  aur  nuur  kī  bāteñ  karte  haiñ
nazdīk  kī  bātoñ  se  ḳhā.if  ham  duur  kī  bāteñ  karte  haiñ
ta.amīr-o-taraqqī  vaale  haiñ  kahiye  bhī  to  un  ko  kyā  kahiye
jo  shīsh-mahal  meñ  baiThe  hue  mazdūr  kī  bāteñ  karte  haiñ
ye  log  vahī  haiñ  jo  kal  tak  tanzīm-e-chaman  ke  dushman  the
ab  aaj  hamāre  muñh  par  ye  dastūr  kī  bāteñ  karte  haiñ
ik  bhaa.ī  ko  duuje  bhaa.ī  se  laḌne  kā  jo  dete  haiñ  paiġhām
vo  log  na  jaane  phir  kaise  jamhūr  kī  bāteñ  karte  haiñ
ik  ḳhvāb  kī  vaadī  hai  jis  meñ  rahte  haiñ  hamesha  kho.e  hue
dhartī  pe  nahīñ  haiñ  jin  ke  qadam  vo  tuur  kī  bāteñ  karte  haiñ
ham  ko  ye  gila  mahbūb  unheñ  afsāna-e-bazm-e-aish-o-tarab
shikva  ye  unheñ  ham  un  se  dil-e-ranjūr  kī  bāteñ  karte  haiñ
kyā  ḳhuub  adā  hai  un  kī  'obaid'  andāz-e-karam  hai  kitnā  hasīñ
majbūr  ke  haq  se  nā-vāqif  majbūr  kī  bāteñ  karte  haiñ